Tuesday, April 12, 2022

🍂Ittarwala

Chaurahe par
ek ittar ki dukaan thi

Jab guzarta nazdeek se
Hawao se bas pyaar ho jaata

Dillagi ka yeh silsila chala saalo tak
Mehek ki aadat si ho gayi thi

Ek din chaurahe se guzarte hue
Hawa mai gardish thi

Chancal mann rok na saka
Aur poocha dukaandaar se

Aaj hawa mai
Pyaar ki khusboo kyu nahi

Bola woh muskurakar
Khusboo toh aaj bhi hai

Magar dil mai jo hai
Hawa toh bas uski gawa hai

No comments: