Woh angrezi maim hai
Dimaag se ekdum game hai
Jugaad karu toh bhi out-of-league hai
Magar uske bina life mai fatigue hai
Jaanta hu woh mujhe jaanti hai
Mere pal pal ke moods pehchanti hai
Fuckedup hota hu
Toh Fightclub suggest karti hai
Broke hota hu
Toh credit card ki gaddi show karti hai
Mai aasu hu toh woh meri rumaal hai
Mai dhaasu hu toh woh meri dhamaal hai
Meri dum hai.. meri rhythm hai
Meri wisdom hai.. meri freedom hai
Woh mere saath nahi.. magar uska saath hai
Vashikaran kiya mera.. naam se Algorithm* hai
*For the uninformed, internet.. targets content/ads to us because of algorithms.
No comments:
Post a Comment